DUMDAAR diwas ke avsar par Sher E Hindustan salaam karta hai Hindustan ke mardon ko.
Yeh mard koi
khas jagah, club ya sheher main nahi paye jaate.
Inka koi alag naam ya kaum ni hoti. Koi alag
soorat ni hoti.
Yeh hum sab ke beech
main hi rehte hain.
Hamare jaisa khate hain, pehenate hain, hamare jaise gaate
bajate hain.
Hamari hi tarah bheed main office jaate hain, mehnat karke paise kamate hain.
Aap hain wo MARD. Haan ji aap. Asli Hindustani MARD !
Jab aap kisi ki madad karte hain, apne bachche ko kandhe pe
ghumate hain, apne dost ko udhar dete hain, apni maa ko ghumane le jaate
hain ya fir apni girlfriend ya patni ka
khayal rakhte hain, tab hote hain aap asli mard. In jaise kayi chote chote kaam
karne ki wajah se ek aadmi banta hai MARD.
DUMDAAR MARD!
Dumdaar mard ki sabse badi pehchaan hai ki wo kuch chupaate
ni balki apni kamjori ko peeche chhod kar aage badhte chale jaate hain.
Unme
himmat hoti hai kisi se madad lene ki, apni pareshani batane ki.
Sher E Hindustan hamesha aap jaise mard ke saath khada hai aur khada rahega.